Breaking

Thursday, February 15, 2018

Thank You Shayari in Hindi by Luv Shyari


Thank You Shayari – Kis Kadar Shukriya Ada Karu

Us Khuda Ka, Alfaz Nahi Milte,
Zindagi Itni Khubsurat Na Hoti
Jo Aap Jaise Dost Nahi Milte..

Thank You Shayari – Dosti Ka Shukriya Kuch Is Trah Ada Kru

Dosti Ka Shukriya Kuch Is Trah Ada Kru
Aap Bhul B Jao To Mai Yaad Kru
Dosti Ne Bas Itna Sikhaya H Muze
K Khud Se Pahle Apke Liye Dua Kru.

Thank You Shayari – Aap Ke Lafzon Se Hua Thanda Mera Jiya

Lo Aap Ke Naam Pe Yeh Sher Maine Arz Kiya,
Oh Meri Tareef Karne Wale Friend,
Meine Aap Ko Sache Mann Se Karta Hun Shukriya.

Thank You Shayari – Mujhko Phir Wahi Suhana Nazara Mil Gaya

Mujhko Phir Wahi Suhana Nazara Mil Gaya,
Nazron Ko Jo Deedar Tumhara Mil Gaya,
Aur Kisi Cheez Ki Tamanna Kyu Karu,
Jab Mujhe Teri Baahon Mein Sahara Mil Gaya.
Shukriya Shukriya Shukriya

Thank You Shayari – Wabasta Ho Gayi Thi Kuch Umeedein Aap Se

Umeedo’N Ka Charag Bujhaney Ka Shukriya…

Thank You Shayari – Yaadon Mein Aane Waale Tera Shukriya

Dil Ko Bahelane Waale Tera Shukriya,
Kyun Karta Hai Aaj Ke Zamane Mein Kisise Dosti Itni,
Hume Dost Kahne Vaale Tera Shukriya.

Thank You Shayari – Aaj Kar Lene De Shukriya Tu Ada

Jaane Kis Mod Par Hum Ho Jaye Juda
Abhi Tak Mere Saath Jo Tu Chala
Dil Ye Chahe, Chale Bas Yahi Silsila
Shukriya Shukriya Shukriya

Thank You Shayari – Kis Tarah Se Shukriya Kahe Aapko


Zameen Se Utha Kar Dil Mein Bitha Liya,
Nazron Mein Sama Kar, Palkon Pe Saja Diya,
Itna Pyaar Diya Aapne Humko Ke,
Mere Bikhre Shabdon Ko Kavita Bna Diya.

No comments: