Breaking

Tuesday, November 20, 2018

50+ Best Motivational Shero Shayari in Hindi !Shero Shayari 2019




1 CHALTE RAHIYE 
HO KE MAYOOS NA YOON SHAAM SE DHALTE RAHIYE,
ZINDAGI BHOR HAI SURAJ SA NIKALTE RAHIYE,
EK HI PAON PE THAHROGE TO THAK JAOGE,
DHIRE-DHIRE HI SAHI RAAH PE CHALTE RAHIYE. 



2 Kabhi Zameen Mat Chodna: 
Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna. 



3 Kuch Ker Kay Dikha Diya..... 
Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay, Roz mar mitney walay naam bohut hain. 



4 Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai: 
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai. 



5 Taqdeer Ka Suraj: 
Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,
Maysoos hokar na umeedon ka daman chhod,
Varna khuda naraz ho jayega,
Thokron se na tu ghabra,
Har padaav par apne aap ko aur mazboot payega,
Nakamyabi ki dhund se na ghabrana,
Kaamyabi ka suraj teri takdeer roshan kar jayega. 


6Yun to umar hai bahut choti si,
Par har chote se lamhe ko tu ji bhar ke ji le,
Khwab si is zindagi mein, Khwab aise bun,
Ki leke rukhsat is jahaan se khule jab aankhein teri
Tab kar khuda se saamna kabhi jhuke na teri nazar...... 


7 HAWAON SE KEH DO APNI AUKAAD MEIN RAHE
HUM PAIRO SE NAHI HOSLO SE UDA KARTE HAIN



8. SAPNE NAHI TOOTA KARTE
SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE






10. Khwaab Zinda Rakh
agar aankhein teri zinda hai
to inn mein khwaab bhi zinda rakh
mayoosi le jati hai kufr ki janib
hardam ummeed-e-fatah rakh
ragon mein jab khoon rawan hai ab tak
to koshishein apni rawan rakh
na ummeed le jati hai nakaami ke janib
umangein apni jawan rakh.







13. Udaan-hausla



14. Zindagi Degi Hassne Ke Mauke Hazaar Tumhein



15. Raah 


No comments: