Ek ladki jisne majburi me kisi aur se shadi kar li hai .. wo apne mehboob ko yaad kar rahi hai…… Ae chand tu to rahta hai badlon se bhi upar duniya ki sabse unchi chhat par…. Ek baar zor zor se padh kar suna de mere mahboob ko jo kuchh likha hai mere khat par….. Use kahna ki majboor na huye hote… to aaj hum ikathe baithe tujhe nihar rahe hote…. Teri mang me jo jade hai sitare… un sitaron ko apni ungliyon se snwar rahe hote….. Use ye bhi kahna ki mere sine me jo dil dhadkta hai na wo aaj bhi dhak dhak ki jagah uska naam pukarta hai … Jab bhi aata hai uska chehra meri ankhon ke samne… to dil badi shiddat se uski nazar utarta hai ….. usse Kahna ki maine uske baad sansen to bahut lin magar jeena uske baad se hi chhod diya… Aur puchhna usse bhi … ki jo sapno ka mahal hamne sajaya tha.. wo abhi bacha hai ya usne bhi use tod diya…. usse puchna ki wo kabhi bahane se mere sasural wali gali se gujrta kyun nahi…. Kya main parayi hogyi hun ?? wo ab mere dil ke angan me pahle ki tara utarta kyun nahi… Use btana ki uske khaton ko maine aaj bhi apni almari me chhupa kar rakha hai ….. Aur un khaton par gire uske ansuon ke swad ko na jane kitni bar apni honthon se chakha hai….. Use ye bhi batana ki main aaj bhi uska chehra aksar raton ko tujh me dhundha karti hun… Use ye ahsas zaroor karana ki bhale hi main zinda dikhti hun magar uski yaad me roz ghut ghut kar marti hun….. Ye akhri baat use kahna ki kabhi bhoole bhatke hi sahi magar ek baar apna deedar kara jaye…. Na haqeeqat me sahi magar kam se kam wo ek baar mere sapno me hi aajaye….. aise chand agar wo so raha ho. to tu uske balon me dhire se hath ferna.. wo ye bahut pasand karta hai… usse kehna ki wo hamesha khush rahe….. koi aaj bhi use muskurate dekhen k liye tarashta hai….. usse kehna ki marte dam tak meri yahi duwa raregi ki wo apni zindgi me koi bhi gam na sahe…. uske jo sapne the na.. .unhe wo pura kare…. mujhe bhul kr hamesha k liye… wo apni zindgi me age badhe…. Us ladke Ka Jawab… Kal raat jab main baitha tha akela tanha sa.. to laga jaise ki chand mujhse kuchh kahna chahta hai… Kuchh der ke liye niche zameen par utar kar wo meri soch ke sath bahna chahta hai…. Agle hi pal maine paya ki chand mere bagal me baitha hua bahut dheere dheere muskura raha hai… Kisi apne khoye huye ka haal mere kanon me badi dheere dheere suna raha hai…. Chand ki baton ko sun meri bhi ankh nam aur honth muskurane lage… Hum bhi naa chahte huye apne mahboob ke khat ka jawab chand ko sunnane lage…. Wo Mahboob jo kayi salon pahle majboori me chala gya tha mujhe mere hal par chhod kar…. Kuchh haseen pal de kar aur khuchh rangeen sapne buri tarah se tod kar…. Usne aaj itne salon baad mujhe khat bheja hai chand ke hathon aur shikayat ki hai ki main uski gali me aata nahi… Zamane beet gaye magar main uske dil se nikal na saka aur ek main hun ki apna chehra tak use dikhata nahi… Haan jayaz hai uska mujhe is baat ke liye kosna ki maine uski khabar tak kyun na li… Uski khabar to chhodo kabhi apni khushi gum ki khabar bhi use na di… Magar ae chand tu bhi ab mera jawab use jaa kar bade pyar se batana…. Jo tu dekhega apni ankhon se wo sara manzar use uski ankhon se dikhana… Use kahna ki jis din wo gayi usi din se meri zindagi kisi purani ujad haveli ki tarah veeran hogyi ….. Jo kabhi ubhari thi ek shayar ke naam se meri wo shakhsiyat bhi gumnam hogyi…. Wo chahe jaise taise ek naye ghar ki mehman to ban gyi thi… Meri na ban saki na sahi magar kisi aur ki jaan to ban gayi thi…. Magar main yahan din raat akela gumon ki maar sahta raha… Apna dard chikh chikh kar in dar deewaron se kahta raha…. Mera man hua ki ek baar tere sasural ki galiyon me ghoom aaun main… Paas se na sahi magar dur se hi tere mathe ko haule se choom aaun main….. Magar fir kadam ruk gaye ye soch kar ki kahin tu mujhe dekh kar ro na baithe…. Kahin mera aks padte hi samne tu apni khushiyon ko apne hathon se kho na baithe…. Tere liye hi main apna har gum sahta raha magar kisi se kuchh na kaha…. Magar afsos main tujhse kiya wada nibha na saka kyun ki main kamzor hota raha…. Tu kabhi ye khabar to leti …. ki main itne din kahan kho gya tha…. Shayad tab tujhe maloom chalta… ki tere jane ke kuchh dinon baad hi main maut ki neend so gya tha…. Magar aaj bhi apni kabar par baitha rahta hun.. isi din ke intzar me….. Ki kabhi to tu aayegi …. meri in do ankhon ke deedar me….. Aaj chand ko apna sara hal a dil bata kar .. tere pas bhijwa raha hun …. Ab main skoon se so sakta hun meri jaan… isi liye laut kar ab kabr me jaa raha hun……..
No comments:
Post a Comment